LAHRE UTHI THI SAGAR SE,
JAISE JAL CHALAK UTHA HO GAGAR SE,
SAGAR SE DHARTI PAR AAI, TATHA PAR ATANK MACHANE KO,
SAHIL KO DUBHA DIYA USNE,
APNE PRACHAND AAVEGO SE,
LAHRE UTHI THI SAGAR SE,
JAISE JAL CHALAK UDHA HO GAGAR SE.
LAKHO KO BEGHAR KIYA,
LAKHO KE PRADO KO LIYA,
DIYA UNHE AANSU AUR LACHARI KA SATH,
APNO KO KAR DIYA KINARE,
RAH GAYE BEKARI KE SATH,
SAGAR TU TUO BADA AJAB THA,
JIVO KA DETA THA SATH,
KIYU CHALAK UTHA THA TU SAHIL ME,
KYA AJAB HUA THA TERE SATH,
LAHRE UTHI THI SAGAR SE,
JAISE JAL CHALAK UTHA HO GAGAR SE.
DEKHE HONGE JO SAPNE UN LOGO NE,
UNKO TUNE KAR DIYA KHAK,
PYARE PYARE MASUMO KE MANSUBO KO KAR DIYA RAKH,
SAGAR TU TUO BAHOT BADA HAI,
PHIR MUH PHADE TU KIYU KHADA HAI,
JINDGIYA KIYU LE RAHA HAI TU,
KYA TUJHME JIVO KA AAKAL PADA HAI,
AAKALI KYA CHA GAI TUJHPE,
JO AISA THAK KAR CHUR HUA HAI,
AB TUO RAHAM KAR HAM SAB PAR TU,
CHALA DE APNI RAHMAT KA JADU,
US DIN-
LAHRE UTHI THI SAGAR SE,
JAISE JAL CHALAK UTHA HO GAGAR SE.