Thursday, October 24, 2013

Pyar aur Bharat ©

Asamajasya me mann ye bhawuk,
Kuch darr Ankhon me samaya,
Sacchai se wakif kab hum?
Duniya ka ye kaisa khel rachaya?
Maanawta apwad yaha hai,
Ab humme Jazbaat kaha hai?

Laathi le lekar ke daude,
Logo me ab wo aag yaha hai,
Pyar bhare dil, Jhooth hai lagte,
Kisi ke sane itne saste,
Koi Daudta Dahaad lagata,
Koi nishchal yar lutata,
Lekar aandhi tufaan ko tum,
Aakar ab insaaf karo,
Kiyu Nafrat ki ye aandhi hai yun?
Aakar esko saaf karo,
Ye pyar Amar hai -
Amar rahega,
Milkar eska aagaz karo,
Pyar bhare dil, Pyar se jee leen,
Aakar eska sath bharo,
Manwata hi Jaat yaha par,
Aakar aisa etihas racho.

Kiyu jaan yaha ar itne sasti,
Kiyu aan ar jaan lutate hai?
Aan humari humse hi hai,
Kiyu samajh ese nahi paate hai?
Tum milkar nafrat ka bahishkar karo,
Pyar bhari ye duniya ho,
Tum aakar ab insaaf karo,
Tum aakar ab insaaf karo.

No comments: