Thursday, October 24, 2013

Zindgi ©

Ek umang ke sath chali thi, Meri Zindgi,
Ek kushi ke rane me rangi thi, Meri Zindgi,
Kitne hasin al the zindgi me meri,
Kya khub thi wo, Meri Zindgi.

Aaj jab khud ko dekhti hu main,
Na jaane kiyu vichlit ho uthti hu main,
Mere Armaano, Meri Arjuyo ko na jaane kasie-
Kisi ne bandh diya,
Meri Abhilashayo ko, Mere Jazbaaton ko na jaane kaise-
Bojhil sa kar diya,
Ab kya hai?
Kaisi hai?
Ye meri Zindgi.

Kabhi socha tha, kya aane ke liye,
Kabhi socha tha, Jeevan ko sazane ke liye,
Chahak jaati thi main aakar thodi si khushi,
Mahak jaati thi main, shayad har kahi,
Ane Armaano ke karwa me main, khoi hui thi,
Ek nasha tha jaise,
Ek chingari jo, mann ne soyi hui thi,
Ab kya soch rahi hai, ye meri Zindgi
Shyad .....
Khoye huye palo ko khoj rahi hai,
Ye MERI ZINDGI.

No comments: